Baarish Ki Boondein
Ye baarish ki boondein laayin rimjhim yaad puraani
Safar purane yaad aye, mano sunaye koi kahani
Kuch meethe kuch khatte palon ko darshak banke Dekha
Yaadon aur sapno ki udaan, na Jane koi rekha
Kabhi bachpan ke khel yaad aye aur yaad ayi kilkari
Kabhi dukhon ke baadal aye aur palkein huin bhari
Yaad aaya pani mein bheegna, chintarahit ho ke khelna
Yaad Aayi sondhi mitti ki sugandh aur boondon ko girte dekhna
Aur yaad aye samose, pakode or masaale vali chai
Aur kaagaz ki naav Jise Pani mein hum tairayein
Ye sunehre pal aur mausam, hum Jane Kahan bhool aaye the
Hridaya ke ek kone mein kahin beete lamhon ke saaye the
Yaadon ka ek karavan Chala, Kahan rukega man bhala
Sabhi ehsaas salone the, sikha gaye the nayi kala
Varsha ke pani mein mano, sabhi kisse dhul gaye
Achhe bure, koi bhi hon, sabhi aapas mein mil Gaye
Baarish ki boondon ki madhur dhwani mein Sabhi chehre khil Gaye
Ye baarish ki boondein laayin rimjhim yaad puraani
Safar purane yaad aye, mano sunaye koi kahani
Dr. Jaya Sonkar MD MPH
3/15/2024
©All rights reserved . Copyright 2024