Yaadon ka aana jaana
Shabdon ka taana baana
Bheeni bheeni si khushboo
Aur khushboo ka mehkana
Madhyam madhyam Pawan
Aur Pawan ka sehlana
Uspe bheeni si baarish
Aur baarish ka nehlana
Chanchal sa ye man
Aur man ko Yun behlana
Phir Bhi chalta Chala wo
Phir usko Yun Thehrana
Aaj jhakiyan Nikli hai
Jhakiyon ka ye Kehlana
Ye meethi si yaadein
Dhoondhe koi Bahana
Bahaane se Yun aana
Aake ye batlana
Wada hai hogi hamesha
Sang hi hogi ravana
Kabhi hare bhare patte
Uspe chidiyon ka baithna
Kabhi gali mein khelte bachhe
Aur unka Yun chehekna
Kabhi satana kabhi hasana
Kabhi roothna kabhi Manana
Kabhi dil ki dehleez pe
Unka Yun khatkhatana
Kuch khona aur kuch paana
Kuch nai yaadein banana
Kuch suron ko jodna
Phir gaana gungunaana
Ye jeevan ki hai gaadi
Kabhi halki kabhi bhari
Atakti chalti garaari
Ye silsila rahega zaari
Yaadon ka aana jaana
Shabdon ka taana baana
Bunte pirote jaate hai
Aur ban jaata hai afsana
Jaya Sonkar MD MPH
6.22.2021
©All rights reserved. Jaya Sonkar 2021
No comments:
Post a Comment