Tuesday, June 28, 2022

Zindagi ek safar

Nadi ae nadi, tu kahan ja rahi hai
Hawa ae hawa, kis rukh mud Rahi hai
Suraj ki roshni surkh laal ho Rahi hai
Ek din dhal raha hai, suhani raat aa Rahi hai
Doosra din banane ke liye

Kuch pani ke lehrein de de
Kuch Hawa ke jhonkhe bhi
Kuch suraj ki kirnein dede
Chandni ko sajane ke liye
Chand ko chandni se milane ke liye

Man garam se sheetal Kar de
Tapovan mein manoram bhar de
Jwala ki wo aag na de
Jwala ki roshni de de
Swayam se parichaya karane ke liye

Mamta de par krodh bhi de
Krodh se krodh ko mitane ke liye
Krodh kitna vinashkari hai
ye krodh ko batane ke liye
Phir usme mamta Jagane ke liye

Ek salona sa vishram dede
Din ki thakan mitane ke liye
Thakna bhi avashyak hai
Vishram ka anand pane ke liye
Jeene ka utsah banane ke liye

Surkh Lal ko phir Neela peela Bana de
Naye din ko sajane ke liye
Dekhein phir nadi kidhar ko Nikli
Aur hawa ne ret kis or bikheri
Is man ko disha dikhane ke liye

Us disha mein chalte chale jayein
Naye rang apnane ke liye
Milte hain bichadte hain
Rahi hai raste mein anek
Safar poora banana ke liye.

Dr. Jaya Sonkar MD MPH
6/28/2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar  2022

No comments:

Post a Comment