Ek Naya Sandesa Laayi
Chharon taraf ujiyara chhaya
Dekho phir Naya din aaya
Neele par ek laal prakash
Sundarta ka adhbut ehsaas
Door ek Tara Chapman Raha hai
Mano mand mand muska Raha tha
Suraj ki roshni sama ke
Apna prakash badha raha tha
Dharti PE sunehri kirnein Aayin
Ped aur pattiya lehrayi
Phool bhi Huse aur khilkhilaye
Pakshi daali pe chehchahaye
Ek oonchi uddan aj bharenge
Kal se bhi zyada upar udenge
Naye prakash mein nayi rachna rachenge
Jab suraj sham layega
Usko apni Kahani kahenge
Phir ek baar raat ki gode mein so Kar
Angle din key sapne bunenge
Suraj ki kirnein Aayin
Naye din ka Naya Sandesa layin!
Dr. Jaya Sonkar MD MPH
10/19/2023
No comments:
Post a Comment