Ek pyara sa basera tha
Basere mein Kuch baatein thi
Yaadon ka taana baana tha
Do chidiyon ka ek ghonsla tha
Jo mil ke hi sanjoya tha
Us ghonsle pe giddh ki nazrein thi
Us giddh ne ghonsla bikhera tha
Giddh ne Pyar ko samjha na
Usne pyaar ko kabhi na jaana tha
Dar se Pyar aur izzat ko
Usne haasil karna Chaha tha
Par samjha na is baat ko
Ki Pyar to jeeta Jata hai
Giddh ne chidiya ko alag Kiya
Usne wo basera bikhera tha
Chidiyon ki ek chiraiya thi
Usne bhi aansoo giraya tha
Giddh ko chidiyon ko harana tha
Giddh ne jhooth ka beej boya tha
Phir alag alag kar nishana laga ke
Chidiyon ko maar giraya tha
Wo giddh Khush hua
Aur is jhooti Jeet ka
Usne khoob jashna manaya tha
Par Bhool gaya ki wo bhi to
Chidiyon ka hi ek hissa tha
Ek hani pahunchi, ek kshati hui
Ek prem Kahani shaheed hui
Us rakh se nikali ek saans
Phir khuli hawa mein sama gayi
Phir rakh se Hawa ki Tarah wo
Poore jag mein chhaa gayi
Giddh sochta ki usne khatam Kiya
Par wo kissa to ab Amar hua
Wo Hawa banke sab logon ki
Saanson mein hi sama gaya
Wo Hawa ki tarah hi har ore
Is poore jag mein chhaa gaya
Wo shaheed hua par Amar hua
Wo kissa bada nirala tha
Jaya Sonkar MD MPH
1/20/2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar 2022
No comments:
Post a Comment