Sab sambhav hai!
(Everything is possible!)
Chand suraj ki roshni mein bhi
chamak sakta hai
Aavashyak nahi ki tej swayam mein ho
Tej ko kendrit kar aur
Tejasvi banakar bhi damak sakta hai
Suraj to din banata hai
Raat ko to chand hi sajata hai
Jharna chhota hokar bhi
Ucchal sakta hai
Aavashyak nahi ki saagar ki gehraai ho
Wo Khud ko chunoti de unchai se gir
Ke bhi thahak sakta hai
Sagar Vishal , ati vishaal hai
Uski vishalkaya to jharna hi banata hai
Veer haar bhi jaye
To bhi jeet sakta hai
Aavashyak nahi ki shatru ka vadh ho
Wo uske samne na jhhuk kar bhi
Apna samman rakh sakta hai
Unhone Yesumasi ka ant kiya
Par aaj Yesu ka Satya hi Pooja Jata hai
Aj jo ho raha hai
Agar wo sahi ho
To samaya beet jata hai
Yadi Kuch galat ho jaye
Aur hum usko sahi banayein
Tabhi wo itihaas banata hai
To mat samjho
Ki durbal ho
Man ki shakti ke aage to
Sher bhi sheesh jhukata hai
Manobal aisi shakti hai
Jo asambhav ko sambhav banata hai
5/3/2022
No comments:
Post a Comment