Swayam hi param hai!
Humsafar ke liye safar chahiye
Safar ke liye sehat chahiye
Sehat ke liye keemat chahiye
Keemat ke liye buddhi chahiye
Buddhi ke liye anubhav chahiye
Anubhav ke liye dard chahiye
Dard ke liye bharosa chahiye
Bharose ke liye himmat chahiye
Himmat ke liye dhairya chahiye
Dhairya ke liye atma bal chahiye
Atma bal ke liye atmnirbhar hona chahiye
Atmnirbhar hone ke liye jeev chahiye
Isliye swayam hi param hona chahiye
Swayam se swayam ka parichaya hona chahiye
Kyunki swayam hi adi se ant tak hai!
Jaya Sonkar MD MPH
9.25.2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar 2022
No comments:
Post a Comment