Tuesday, February 28, 2023

kya dekha Kya paya

Jab chand aaya
Chandni se mulaakaat hui
Jab baadal aaya
Bheeni si barsaat hui

Jab Mor aaya
Manmohak rang aur nritya ka darshan hua
Jab Hiran aaya
To ankhon ko saundarya ka Anubhav hua

Jab Suraj aaya
To Roshni se parichaya Karaya
Jab taare aaye
To Luka chhupi ka Anand aaya

Jab kohra aaya
To sabkuch aakhon se ojhal paya
Jab andhera aaya
To andhkar mein anutha gyan paaya

Kuch anokha dekha aur apnaya
Man ki ankhon ko ankhon se bhi teevra paya
Chetan man seema se pare hai
Chetna pe Ankush paya

Avchetan man Jo soya tha
Chetan ne avchetan jagaya
'Main' kaun hoon
Ek prashna man mein aaya

Is kathin prashna ka
Uttar bhi atyant kathin paya
Har mod pe
Ek naye main ko paya

Ek gehen adhyayan
Mein apne man me jhanka
Dekha ki Kya hai
Jiske liye main yahan aaya

Jaana ki Raah bana ke aaye the
Rah PE chalte Jaana hai
Manzil to sabki ek din ayegi
Sirf karma karte Jaana hai

Jab Ankhmein moondi
To anant Kal dikhaya
Na Adi hai na ant hai
Anant brahmand sajaya

Jaya Sonkar MD MPH
3/1/2023
©All rights reserved. Jaya Sonkar  2023















No comments:

Post a Comment