Saturday, May 29, 2021

Kitna Sundar ye drishya hai

Ped Hain, Pahaad Hain
Phool Hain, bahaar Hain

Rang birange, aasmaan mein
Pankh bhi hazaar Hain

Chidiya Hain, titliyan hain
Chitra Hain , kalakaar hain

Bachhon ki kilkariyan
Pyari si pukaar hain

Pahad ki choti ke pas
Kisi ka ghar sansaar hai

Aasman ko chhuta sa
Zameen se juda hua

Beech mein ek Nadi hai
aur wo Nadi ke paar hai

Pawan madhyam hai
Paani ka madhur bahaav hai

Kitna Sundar ye drishya hai
Kitna saral ye vichar hai

Ek Nirmal Anand ka
Ek anokha ehsaas hai

Jaya Sonkar MD MPH
5.29.2021
While visiting Vail, Colorado

©All rights reserved. Jaya Sonkar 2021

Friday, May 28, 2021

Kabhi door to kabhi paas

Paas se dekho to
Zameen Nazar aati hai
Door se dekho to
Prithvi ban jaati hai

Paas se dekho
To taaron se badi ban jaati hai
Door se dekho
To taaron ki beti nazar aati hai

Paas se dekho to 
Baariki Nazar aati hai
Door se dekho 
To tasveer ban jaati hai

Paas hoke 
Dooriyan Nazar aati hai
Door hue to
Karibiyan Yaad aati hai

Ek ek pal 
Bahut lamba Nazar aata hai
Jab saal ban Gaya to
Yun ek jhalak mein Chala jaata hai

Jab saath the
To chah thi ki ant na ho
Jab door hue to
Jaana ki anant hai wo

Jab chal rahe the
To Safar bahut lamba tha
Jab pahunch Gaye
To laga ki ye to sapna sa tha

Kabhi dur the
to kabhi paas
Kabhi gum the
Kabhi hasya

Ek lambe Safar ka
Halka sa abhaas 
Har pal ho yaadgar
Bas itni si aas

Kamiyan sarvatra hai
Sarvatra hai gun
Chun Chun ke vicharon
Ka taana baana bun

Yo soch hi Sukh deti hai
Soch hi karti Dukhi
Suraj ki taraf dekho
Ae surajmukhi!

Jaya Sonkar MD MPH

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021





   

Ye Zindagi

Ye Zindagi

Kamaan mein chhupe baan 
Laayi hai Zindagi
Kaaya mein base praan
Laayi hai Zindagi

Dil mein Kai toofan
Hai halchal, hain mushkilein
Jeevan Satya ko tu jaan
Jo paayi hai Zindagi

Patjhad kabhi bahaar
Dikhati hai Zindagi
Yu aneko naye logon se
Milati hai Zindagi

Chalta chalega Kya
Thum ja kabhi kahin
Ehsaas Pancho tatvon ke
Karayegi Zindagi

Ye mitti, ye pawan
Ye nishchal sa sheetal jal 
Ye Agni, ye aasmaan
Samati hai Zindagi

Tu pareshan hai, 
Lachaar kyun banati hai Zindagi
Jine ki chah jaga ke
Satati hai zindagi

Koi samjhaye ,Koi dikhaye
Kya Batati hai Zindagi

Tatva Amar hai, 
kuch hai Jo Atma hai
Shareer mein to Yun hi 
Aati jaati hai zindagi

Jaya Sonkar MD MPH
5.28.2021

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021

Kyun prashna hai?


Kyun lagta hai dar
Unchaiyon se
Zameen ki 
Gehraaiyon se

Kyun hota hai bhay
Hahakaar ka
Cheekhon ka
Aur lalkaar ka

Kyun kuch bhi hota hai
Aur kuch jo nahi hota
Kahan se aaye Hain
Kahan ko jaayenge

Kyun lapata sa apna ye
Aashiyana lagta hai
Kyun bheed mein bhi 
Tanha ye shamiyana lagta hai

Ye Jeet Kya ye haar Kya
Ye dand, puraskaar Kya
Ye kyun hai, wo Kahan hai
Beghar Kya, gharbaar Kya

Na main hai, na wo hai
Na Mera na tera
Ye sabkuch sabka hai
Raja Kya, darbaar Kya

Aaye ho yahan to
Padchinh chod ke jao
Man mein ek Sundar sa
Chitra bana le jao!

Jaya Sonkar MD MPH
5.28.2021

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021

Sunday, May 23, 2021

Swayam se parichay!

Aj aaine ke saamne khadi thi
Apna hi chitra nihaar rahi thi

Aj khud ko khudme dekh rahi thi
Man ki aankhon se pooch rahi thi

Khush Hoon ya sirf muskura rahi hoon
Kaun se geet gunguna rahi hoon
Kya pa liya Jo paana tha
Ya wo seekhne ka sirf ek bahaana tha

Ek Chhoti si bachhi ki jhalak dikhi
Wo mand mand muskura rahi thi
Maano ek lambi kahaani suna rahi thi

Jab is duniya mein aayi thi
Ma ki god mein samayi thi
Padhna likhna acha lagta tha
Khelna ati anandit karta tha
Rang bade rangeen hote the
Swar apni dhun mein talleen hote the
Swad cheezon ka alag hi hota tha
Khushboo se bhara sama hota tha

Na Kal ki fikr thi, Na Kal ka shok tha
Har ek pal, sirf us pal ka hi hota tha
Ek vichar man mein yun aaya
Kyun itna sabkuch badal aaya

Kuch apne apni yatra 
Poori karke chale gaye
Kuch apne apne hote hue bhi 
Paraye se lagne lage
Kuch paraye paraye hoke bhi
Apnon se aage nikal gaye
Kuch seekh gaye kuch sikha gaye 
Kuch sun gaye kuch bata gaye
Kaano mein goonjte unke wo
kehkahe aj phir rula gaye
Wo aansoon hi ghav bhar gaye
Jo aakhon mein sarovar bana gaye

Zindagi bahut kuch sikha gayi
Par kehti hai seekhna baki hai
Hausla de majboot bana gayi
Kehti hai daudna baki hai
Is daud ki baat nirali hai
Manzil ka kuch pata nahi
Kehti hai manzil to rasta hi hai
Rasta bhi wahi manzil bhi wahi

Is poore raste mein pratham wahi
Jo sunle jo hai ankahi
Jo jaanle khud ki kala aur kami
Manzil wo khud hai, koi aur nahi
 
Jeevan mrityu, sukh aur dukh
Ye paase hain is lambe khel mein
Jo khila rahi hai Zindagi
Sikhane ki ummeed mein

Har baat ke do pehlu hote Hain
Jo dekh le chhupe hue arth ko
Jo samajh le us addhyay ko
Usika jeevan sarthak ho

Jaya Sonkar MD MPH
©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021












   

Saturday, May 22, 2021

Chhoti si aasha hai!

Chhoti si asha!
Rango se bhara ek jeevan ho

Suraj ki kirne ho
Rango ke baadal ho,
Taaron ki chhaaon mein
Chandni ka aanchal ho

Neela sa aasman ho
Chidiyon ki boli ho
Fagun ka mahina ho
Ji bhar ke Holi ho

Pedon ki chhaon mein 
Mamta ka aanchal ho,
Sundar sa Rasta ho
Aur samne manzil ho

Lehrate kheton ke beech,
Chhota sa gaaon ho,
Nadiya ke Pani ka
Sheetal bahaav ho,

Us chhote se gaaon mein
Logon ka jamghat ho
Peepal ke ped ke 
Neeche hi baithak ho

Kone pe paani ke paas
Chhota sa Aashiyana ho 
Bachhon aur boodhon ka
Khelna khilkhilana ho

Ghar ko Roshan Kar de
Aisa pyara sa pyar ho
Phoolon ki maala ho
Khushiyon ka haar ho

Jeevan ki yatra mein
Achha sa sathi ho
Sukh dukh mein, har pal mein
Diya aur baati ho

Jab murjhaye phool ye
Mehki si yaadein ho
Yaadon ke karavan mein
Meethi si baatein ho

Rango se bhare
Ek poore jeevan ki
Shanti aur sukh
Kathinaiyon or jeeton ki

Chhoti si aasha hai
Poori ho, Mansa hai
Koshish hai, prayas hai
Jeevan ye poora ho
Rango se Bhara 
Ek pyara sa jeevan ho

-Jaya Sonkar MD MPH
In Hindi language ( using Roman script for phonics instead of devnagri script)

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021