Friday, May 28, 2021

Kabhi door to kabhi paas

Paas se dekho to
Zameen Nazar aati hai
Door se dekho to
Prithvi ban jaati hai

Paas se dekho
To taaron se badi ban jaati hai
Door se dekho
To taaron ki beti nazar aati hai

Paas se dekho to 
Baariki Nazar aati hai
Door se dekho 
To tasveer ban jaati hai

Paas hoke 
Dooriyan Nazar aati hai
Door hue to
Karibiyan Yaad aati hai

Ek ek pal 
Bahut lamba Nazar aata hai
Jab saal ban Gaya to
Yun ek jhalak mein Chala jaata hai

Jab saath the
To chah thi ki ant na ho
Jab door hue to
Jaana ki anant hai wo

Jab chal rahe the
To Safar bahut lamba tha
Jab pahunch Gaye
To laga ki ye to sapna sa tha

Kabhi dur the
to kabhi paas
Kabhi gum the
Kabhi hasya

Ek lambe Safar ka
Halka sa abhaas 
Har pal ho yaadgar
Bas itni si aas

Kamiyan sarvatra hai
Sarvatra hai gun
Chun Chun ke vicharon
Ka taana baana bun

Yo soch hi Sukh deti hai
Soch hi karti Dukhi
Suraj ki taraf dekho
Ae surajmukhi!

Jaya Sonkar MD MPH

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021





   

No comments:

Post a Comment