Saturday, May 22, 2021

Chhoti si aasha hai!

Chhoti si asha!
Rango se bhara ek jeevan ho

Suraj ki kirne ho
Rango ke baadal ho,
Taaron ki chhaaon mein
Chandni ka aanchal ho

Neela sa aasman ho
Chidiyon ki boli ho
Fagun ka mahina ho
Ji bhar ke Holi ho

Pedon ki chhaon mein 
Mamta ka aanchal ho,
Sundar sa Rasta ho
Aur samne manzil ho

Lehrate kheton ke beech,
Chhota sa gaaon ho,
Nadiya ke Pani ka
Sheetal bahaav ho,

Us chhote se gaaon mein
Logon ka jamghat ho
Peepal ke ped ke 
Neeche hi baithak ho

Kone pe paani ke paas
Chhota sa Aashiyana ho 
Bachhon aur boodhon ka
Khelna khilkhilana ho

Ghar ko Roshan Kar de
Aisa pyara sa pyar ho
Phoolon ki maala ho
Khushiyon ka haar ho

Jeevan ki yatra mein
Achha sa sathi ho
Sukh dukh mein, har pal mein
Diya aur baati ho

Jab murjhaye phool ye
Mehki si yaadein ho
Yaadon ke karavan mein
Meethi si baatein ho

Rango se bhare
Ek poore jeevan ki
Shanti aur sukh
Kathinaiyon or jeeton ki

Chhoti si aasha hai
Poori ho, Mansa hai
Koshish hai, prayas hai
Jeevan ye poora ho
Rango se Bhara 
Ek pyara sa jeevan ho

-Jaya Sonkar MD MPH
In Hindi language ( using Roman script for phonics instead of devnagri script)

©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021












No comments:

Post a Comment