Sunday, May 23, 2021

Swayam se parichay!

Aj aaine ke saamne khadi thi
Apna hi chitra nihaar rahi thi

Aj khud ko khudme dekh rahi thi
Man ki aankhon se pooch rahi thi

Khush Hoon ya sirf muskura rahi hoon
Kaun se geet gunguna rahi hoon
Kya pa liya Jo paana tha
Ya wo seekhne ka sirf ek bahaana tha

Ek Chhoti si bachhi ki jhalak dikhi
Wo mand mand muskura rahi thi
Maano ek lambi kahaani suna rahi thi

Jab is duniya mein aayi thi
Ma ki god mein samayi thi
Padhna likhna acha lagta tha
Khelna ati anandit karta tha
Rang bade rangeen hote the
Swar apni dhun mein talleen hote the
Swad cheezon ka alag hi hota tha
Khushboo se bhara sama hota tha

Na Kal ki fikr thi, Na Kal ka shok tha
Har ek pal, sirf us pal ka hi hota tha
Ek vichar man mein yun aaya
Kyun itna sabkuch badal aaya

Kuch apne apni yatra 
Poori karke chale gaye
Kuch apne apne hote hue bhi 
Paraye se lagne lage
Kuch paraye paraye hoke bhi
Apnon se aage nikal gaye
Kuch seekh gaye kuch sikha gaye 
Kuch sun gaye kuch bata gaye
Kaano mein goonjte unke wo
kehkahe aj phir rula gaye
Wo aansoon hi ghav bhar gaye
Jo aakhon mein sarovar bana gaye

Zindagi bahut kuch sikha gayi
Par kehti hai seekhna baki hai
Hausla de majboot bana gayi
Kehti hai daudna baki hai
Is daud ki baat nirali hai
Manzil ka kuch pata nahi
Kehti hai manzil to rasta hi hai
Rasta bhi wahi manzil bhi wahi

Is poore raste mein pratham wahi
Jo sunle jo hai ankahi
Jo jaanle khud ki kala aur kami
Manzil wo khud hai, koi aur nahi
 
Jeevan mrityu, sukh aur dukh
Ye paase hain is lambe khel mein
Jo khila rahi hai Zindagi
Sikhane ki ummeed mein

Har baat ke do pehlu hote Hain
Jo dekh le chhupe hue arth ko
Jo samajh le us addhyay ko
Usika jeevan sarthak ho

Jaya Sonkar MD MPH
©All rights reserved. Jaya Sonkar  2021












   

No comments:

Post a Comment