Na Tum mere dukh ke saathi
Aise Kaise Jeevan saathi
Kehte hain diya aur baati
Na Tum man ki jyot jalate
Na hi man ke bhitar aate
Aahat par peechhe hat jate
Choodi par laathi barsate
Sun ve o Kutumb ke raja
Yaadein door Hain phir bhi taaza
Kaise Khushboo ne ghar ko saaja
Dhoom dhaam aur gaaja baaja
Sundar Swapna salone se
Mala mein moti pirone the
Ret ke hi to gharonde the
Kuch paaon ne raunde the
Aaj saaj phir chedda hai
Kya phir wohi Jaal bikhera hai
Sannata hai andhera hai
Ek chhota sa basera hai
Ek Pyar Jo sirf Mera hai
Phoolon ne Rasta Moda hai
Kaaton ne Saath ab chhoda hai
Man mein dar phir bhi thoda hai
Pad chinnhon ne bhagya parosa hai
Ek nayi leher aayi hai
Phoolon se bhari ek kyaari hai
Usme ek gudiya pyari hai
Aur pyari si kilkaari hai
Saath mein Bahaar hai
Baahon ka ek haar hai
Akarshak preet ka taar hai
Ek adbhut si raftaar hai
Usme leen ho jaaun main
Manmohak raagein gaaun main
Paani pe haath firaun main
Ek baar phir se ji jaun main
Jaya Sonkar MD MPH
4/14/2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar 2022
No comments:
Post a Comment