Ek din ek Nadi ke kinare
Baithain, ek duje ke sahare
Haath mein chai ka Pyala ho
Preet aur geet ki mala ho
Subah ki Thandi hawa ke jhonke
Sham ka suraj doobne wala ho
Chand ka Pahar shuru ho
Aur Haathon mein haath daala ho
Swarg ka ehsaas Karaye
Aisa Pritam dilwala ho
Saanson ke meethi aawaz ho
Dil ki dhadkanon ki taal ho
Kahaniyan, atkheliyan,
Aur hansi ki phuhar ho
Ek din ek Nadi ke kinare
Baithe aur dekhte rahein
Balkhate pani ki lehrein
Aur Batakhein Jo unpe tairein
Jade ki dhoop ho
Ya paani ki bheeni boodein
Ya fulwari aur titliyan
Ya ho garmiyon ki Shamein
Ek din ek Nadi ke kinare
Baithain ek duje ke sahare
Sukh dukh ki ho baatein
Ya ho gile aur shikwe
Bas ek din ek Nadi ke kinare
Baithain ek duje ke sahare
Jaya Sonkar MD MPH
4/17/2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar 2022
No comments:
Post a Comment