Tuesday, April 19, 2022

Ye raat aur ye din!

Are ye to Raat ho gayi
Abhi abhi to din tha

Jaane ye Kya baat ho gayi
Ye Kaunsa vighn tha

Are ye Raat bhi Sundar hai
Taaron se ye saji hui

Chand udhar se khil Raha hai
Chandni bani thani hui

Raat Suraj se ja boli
Meri Ankhein Hain dari dari
Teri bheeni Roshni se hi
Meri kuttiya jagmaga uthi

Ye jag to ujiyara tha
Apne suraj par itraya sa
Suraj Jo sair ko Nikla
Jag phir ye ghabraya tha

Suraj bola, mat ho pareshan
Main jo ghoom ke aaunga
Tum Raat ka Saath Dena
Subah Naya Sandesa launga

Raat meri Chadar hai
Use apna man dhak Lena
Jab main tumko yaad aaun
Usme Chhavi Meri dekh lena

Aur thoda vishram Karna
Thoda sochna aur vicharna
Agle Pahar mein, agle Charan mein
Ek nayi rachna rachana

Haan abhi to Raat thi
Ye din phir se nikal aaya
Roshni ki Saral kirno se
Man ka aangan jagmagaya

Subah aur Raat to saathi Hain
Ye milke hi ek din hain banate
Nav Ras jab tak poorna na ho
Jeevan Kaise poora kehlate

Are ye dono ras aur raas
Sukshma roop mein poora saar
Har pal ek naya Safar hai
Har safar hai nayi shuruaat

Jaya Sonkar MD MPH
4/19/2022
©All rights reserved. Jaya Sonkar  2022

No comments:

Post a Comment